Chhapaak | Ab Ladna Hai (Poem) | Deepika Padukone | Vikrant Massey | Meghna Gulzar | Gulzar | Lyrics
Singer : | Deepika Padukone |
Song Writer : | Gulzar |
Ab Ladna Hai (Poem) Lyrics
Dekh samajh ke gaur karna hai
Thodi si koshish aur karna hai
Ab ladna hai!
Har chehre ko sawarna hai
Chaand ka daag bhi bharna hai
Ab ladna hai!
Maila mausam saaf karna hai
Zindagi se insaaf karna hai
Ab ladna hai!
Beemaar nazar ka ilaaj karna hai
Jo kiya nahin tha aaj karna hai
Ab ladna hai!
Ab seham seham ke nahin rehna hai
Buland aawaaz mein ab kehna hai
Ab ladna hai,
Ab ladna hai!
Thodi si koshish aur karna hai
Ab ladna hai!
Har chehre ko sawarna hai
Chaand ka daag bhi bharna hai
Ab ladna hai!
Maila mausam saaf karna hai
Zindagi se insaaf karna hai
Ab ladna hai!
Beemaar nazar ka ilaaj karna hai
Jo kiya nahin tha aaj karna hai
Ab ladna hai!
Ab seham seham ke nahin rehna hai
Buland aawaaz mein ab kehna hai
Ab ladna hai,
Ab ladna hai!
Watch the official video of the Song - Ab Ladna Hai
0 Comments